I am sure, aapne kabhi na kabhi internet pe koi bhi ek website browse karte waqt mark kiya hoga, woh website push notifications bhejne ke liye permission mangta ha. Aur aap agar “Allow” button pe click karte hein toh aap us website ko permission grant karte hein aur woh website next time se aapko automatically naye posts publish hone par notifications send karta hai aapke browsers ke madhyam se. For Example – Chrome, Safari, Mozilla etc. Readers chahe online ho ya offline, har ek nayi post publish hone pe woh ek notification receive karenge.
Exactly same chiz yahan pe mein aapko batane jar aha hoon ki kaise aap iss chiz ko apne wordpress website me deploy kar sakte hein ek simple way mein aur notifications send kar sakte hein. Yeh method completely plug and play ha, yani kuch jyada complicated bhi nahi. Install kiye aur kaam chalu.
Iske liye aapko Ek plugin Install karna padega Wordpress dashboard se, naam ha “Push Notifications for Wordpress by PushAssist”.
Kaise "Push Notifications for Wordpress by PushAssist" Plugin Set up kare ?
Step 1 -
Apne wordpress dashboard mein left side bar mein "plugin" ke upar pointer rakhiye. Ek box khulega. Usme se "Add New" Pe click kare
Step 2 -
Upper right corner mein jo search box aayega usme type kare " push notifications ". Dher saare plugins show karega.
Step 3 -
Aapko " Push Notifications for Wordpress by PushAssist " jo tisri number par ha usko pehle " install " aur phir " activate " kar dena ha.
Step 4 -
Successfully install aur activate karne ke baad aapko woh plugin ab Wordpress dashboard mein dikh jayega. Screesshot mein jaise dikhaya gaya ha, usi tarah Dashboard pe click kare.
Also Read :
Uske baad kuch aisa aapko dikhega PushAssist ka Dashboard.
Step 5 -
"Notification title" mein aap jo bhi Title rakhna chahte hein rakh sakte hein.
Step 6 -
"Notification message" me aap pyara sa message apne readers ko engage rakhne ke liye likh sakte hein.
Step 7 -
"Notification URL" mein website ka URL type kare. Daal ne ke baad woh url aise dikhega "bloggingjankari.pushassist.com".
Step 8 -
256 x 256 size ka logo .png format me upload kare jo preview me aap dekh sakte hain.
Step 9 -
Upar ke saare steps complete karne ke baad "SEND" pe click kare.
Also Read :
- Blogger me Free Mein kaise website banaye ( Step by step guide)
- Blogger template kaise change or upload kare
- YouTube se Paise Kamane Ke 6 bade tarike 2018
Ab aap jab bhi naya post publish karenge ya phir post update karenge, jin readers ne aapke website ki push notification ko apne browser me permission grant kiya hoga unke paas notification automatically send hoga aur woh notification receive karenge.
Pros :
- Easy to set up
- Plug and Play
- Not complicated
Cons :
- Not customisable much
- Android Browser not supported
- Only PC Chrome, Safari, Mozilla, Mac OS X
Agar aap more customisable aur android, ios supported plugin chahte hein, toh mein Onesignal Push recommend karunga jo iss website Blogging Jankari mein currently use mein ha.
Onesignal push plugin kaise set up kare, iske baare mein hum ek aur post mein baat karenge full detail mein A-Z.
Agar yeh post aapke liye madadgar rahi aur aapko kuch nayi jankari blogging se judi jan ne ko mili toh comment section me mention jarur kare.
Blogging Jankari mein aane ke liye bahut bahut sukriya.
1 Comments
good information sir aapne share kiye hain.
ReplyDelete